Sunday, September 4, 2011

Bhakt kehta hey –
Hey Shree Radhe !
Mein ek maatra tumhaari hi hun , tumhaari hi thi tatha sada tumhaari hi rahungi .
Mere hriday mein yah vishwash hai ki ek maatra tum hi mere ashraaya swarupa ho.
...
Tum hi mujhe shuddha buddhi pradaan karne wali ho tatha tum hi amulya Shri Krishn prem ka vitaran karne wali ho. Hey patiton ko pavitra karne wali Radhe !
Patit janon ke liye kahin bhi koi aashraya daata nahin hai.
Radhe ! Mein sarvatha akinchaan hun ; atah: apne charnon ki sharan pradaan karo.
Mein jihwa se toh tumhaara naam leta hun parantu man se manmaani hi karta hun. Mein toh anek prakaar se is man ko samjha kar thak gaya.Tumhaari maaya se mugdh huay is man ko mein nahin jeet saka. Tumhi isay  bhay dikha kar apne aadhin karlo.Man hi karta ,bhokta hai. Jab mann tumhara ban jayega toh phir mein sada ke liye karm bandhan se mukt ho kar tumhaara hi ban jaunga …

--- Jagadguru Shri Kripaluji Maharaj

No comments:

Post a Comment