JARA SOCHIYE......
Din raat kya sochte hai aap log.mein achaa hu dusre ke samne.isko aisa idea ho ki mein achaa hu,kaise bolu,kaise baithu,kaise vyavhaar karu ki iske dimag mein yeh bhar jaaye ki mein bahut achaa aadmi hu.bas yehi karte hai hum din raat.achaa kehalwane ka abhyaas karte hai,achaa banne ka nahi.duniya walo ke samne to 'achaa' bhi 'achaa nahi ban sakta','bura' bhala kya achaa banega.
vo tumhare muh par prashansha karta hai,bahar jakar 'badmash,lafanga' is prakar kehta hai,tum samajhte ho ki hamare muafik hai,hamari tareef karta hai,SAB DHOKA HAI.aray ghar wale maa,baap,beta,bibi,pati dhoka dete hai,auro ki kaun kahe.koi nahi jaan paata,din raat usi ke saath rehta hai.
-----by jagadguru shri kripaluji maharaj.
No comments:
Post a Comment